Nahin Ki Mujhko Qayamat Ka Etiqaad Nahin
Shab e Firaaq Se Roz e Jaza Ziyaad Nahin
Koi Kahe Ki Shab e Mah Main Kya Burai Hai
Bala Se Aaj Agar Din Ko Abr O Baad Nahin
Jo Aaun Saamne Un Ke To Marhabaa Na Kahen
Jo Jaaun Vaan Se Kahin Ko, To Khairabaad Nahin
Kabhi Jo Yaad Bhi Aata Hoon Main To Kahte Hain
Ke Aaj Bazm Main Kuch Fitna O Fasaad Nahin
Alava Iid Ke Milti Hai Aur Din Bhi Sharaab
Gadaa-E-Kuchaa-E-Maikhana Namuraad Nahin
Jahaan Main Ho Gam o Shaadi Baham, Hamain Kya Kaam
Diya Hai Hamko Khuda Ne Vo Dil Ke Shaad Nahin
Tum Un Ke Vaade Zikr Un Se Kyun Karo “Ghalib”
Ye Kya Ke Tum Kaho Aur Vo Kahen Ke Yaad Nahin

No comments:
Post a Comment